Bashir Farooqi

shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharon ke darmiyan

Bashir Farooqi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1939-2019
shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharoñ ke darmiyāñ
zindagī aa jā kabhī ham be-gharoñ ke darmiyāñ
maiñ huuñ vo tasvīr jis meñ hādse bharte haiñ rañg
ḳhāl-o-ḳhat khulte haiñ mere ḳhanjaroñ ke darmiyāñ
pahle ham ne ghar banā kar fāsle paidā kiye
phir uThā diiñ aur dīvāreñ gharoñ ke darmiyāñ
ahd-e-hāzir meñ uḳhuvvat kā tasavvur hai magar
tazkaroñ meñ kāġhazoñ par rahbaroñ ke darmiyāñ
un shahīdān-e-vafā ke naam mere sab suḳhan
sar-bulandī jin ko hāsil hai saroñ ke darmiyāñ
kaisā fan kaisī zehānat ye zamāna aur hai
siikh lo kuchh shobade bāzīgaroñ ke darmiyāñ
uḌ gayā to shāḳh kā saarā badan jalne lagā
dhuup rakh lī thī parinde ne paroñ ke darmiyāñ
ye jo ḳhāna hai sukūnat kā yahāñ likh do 'bashīr'
phuul huuñ lekin khilā huuñ pattharoñ ke darmiyāñ
Top Urdushayar.com