Bashir Farooqi

uski nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua

Bashir Farooqi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1939-2019
us kī nazar kā mujh pe kuchh aisā asar huā
dil thā sadaf misāl ba-rañg-e-guhar huā
vo shoḳhiyāñ thiiñ aur na vo rañg-rūp thā
kal maiñ bahut udaas use dekh kar huā
īsār aur vafā kī mire dāstāñ ye hai
jab bhī vatan pe vaar hue maiñ sipar huā
vo hādisa to koī baḌā hādisa na thā
ye aur baat dil pe ziyāda asar huā
aisā bhī ek dar hai isī kā.enāt meñ
us dar kā jo faqīr huā tājvar huā
ab jā ke mujh ko sard shabistāñ huā nasīb
barsoñ tamām jism pasīne meñ tar huā
dahshat-zada fazāoñ se vo be-niyāz thā
jab us kā ghar jalā hai to us par asar huā
yaad aa ga.ī thī mujh ko shahīd-e-vafā kī pyaas
dariyā ko dekh kar jo mirā dil sharar huā
patthar bhī pheñkte koī aatā nahīñ idhar
būḌhe shajar kī tarah jo maiñ be-samar huā
jis din mirī ġhazal ne chhue us ke lab 'bashīr'
us din mirī ġhazal kā safar mo'atabar huā
Top Urdushayar.com