Bashir Farooqi

kar gaya mere dil-o-jaan ko moattar koi

Bashir Farooqi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1939-2019
kar gayā mere dil-o-jāñ ko mo.attar koī
chhū ke is tarah se guzrā mujhe aksar koī
jitnī nazreñ thiiñ usī shaḳhs meñ uljhī huī thiiñ
jā rahā thā sar-e-bāzār sambhal kar koī
kaun sā hādisa guzrā nahīñ us par is baar
aur vo hai ki shikāyat nahīñ lab par koī
dil ko dil un kī nigāhoñ ne banāyā varna
aisā be-dard thā dil jaise ki patthar koī
chāñd tāroñ pe nazar Thahre to yuuñ lagtā hai
tere jaisā hai pas-e-parda-e-manzar koī
vaqt Thahrā huā lagtā thā sar-e-rahguzar
is tarah dekh rahā thā mujhe muḌ kar koī
husn shīrīñ meñ bhī thā husn to azrā meñ bhī thā
na huā mere trahdār kā ham-sar koī
aa.ina apne muqaddar pe na kyuuñ naaz kare
muḌ ke ik baar use dekhe jo sañvar kar koī
kitne tūfān chhupe haiñ tah-e-har-mauj 'bashīr'
aaj kā daur hai yā jaise samundar koī
Top Urdushayar.com