Bashir Farooqi

tazkire mein tere ek nam ko yun joD diya

Bashir Farooqi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1939-2019
tazkire meñ tire ik naam ko yuuñ joḌ diyā
dostoñ ne mujhe shīshe kī tarah toḌ diyā
zindagī niklī thī har ġham kā mudāvā karne
chand chehroñ ne ḳhayālāt kā ruḳh moḌ diyā
ab to aa jaa.eñ mujhe chhoḌ ke jaane vaale
maiñ ne ḳhvāboñ ke darīchoñ ko khulā chhoḌ diyā
qadr-dāñ qīmat-e-bāzār se aage na baḌhe
fan kī dahlīz pe fankār ne dam toḌ diyā
us chaman meñ bhī tumheñ chain mayassar na huā
jis chaman ke liye tum ne ye chaman chhoḌ diyā
yuuñ to rusvā-e-zamāna sahī lekin us ne
mere saath aa ke na.e daur kā ruḳh moḌ diyā
maiñ musāfir nahīñ āvāra-e-manzil huuñ 'bashīr'
gardish-e-vaqt ne ye dekh ke dam toḌ diyā
Top Urdushayar.com