denā hai to nigāh ko aisī rasā.ī de
maiñ dekhtā huuñ aa.ina to mujhe tū dikhā.ī de
kaash aisā tāl-mel sukūt-o-sadā meñ ho
us ko pukārūñ maiñ to usī ko sunā.ī de
ai kaash is maqām pe pahuñchā de us kā pyaar
vo kāmyāb hone pe mujh ko badhā.ī de
mujrim hai soch soch gunahgār saañs saañs
koī safā.ī de to kahāñ tak safā.ī de
har aane jaane vaale se bāteñ tirī sunūñ
ye bhiik hai bahut mujhe dar kī gadā.ī de
yā ye batā ki kyā hai mirā maqsad-e-hayāt
yā zindagī kī qaid se mujh ko rihā.ī de
kuchh ehtirām apnī anā kā bhī 'nūr' kar
yuuñ baat baat par na kisī kī dahā.ī de