sailāb kā guzar bhī to logoñ kī maut hai
dariyā kā bāñjh-pan jahāñ nahroñ kī maut hai
kuchh bhī to kahnā rū-ba-rū bahroñ ke hai fuzūl
jaise ḳhalā meñ chīḳhnā chīḳhoñ kī maut hai
rasta saḌak talak na musāfir ko deñ agar
mere ḳhayāl meñ to ye galiyoñ kī maut hai
āñkhoñ se niiñd ke sabhī āsār gum-shuda
shab bhar hamārā jāgnā ḳhvāboñ kī maut hai
māhaul kī hifāzateñ lāzim haiñ dosto
titlī kī maut asl meñ phūloñ kī maut hai
bārish ho dhuup meñ ki dhanak āsmāñ pe ho
āñkheñ na hoñ to ye bhī nazāroñ kī maut hai
bikhre paḌe haiñ jā-ba-jā kitne hī ḳhāl-o-ḳhad
ya.anī ki TuuTā aa.ina chehroñ kī maut hai
be-shak fasīl jī uThī gaare ke vaar se
lekin 'zamān' ye to darāḌoñ kī maut hai