salāmtī kī duā kā samar banā huā hai
tumhāre baaġh kā paudā shajar banā huā hai
vo jis ke vāste phūloñ kā ehtimām huā
fazā-e-dil se vahī be-ḳhabar banā huā hai
mile jo koī mujhe dil churāne lag jaa.e
tamām shahar tirā jādūgar banā huā hai
ajiib baat hai dil bhī vahīñ pe TuuTe haiñ
har ek shaḳhs jahāñ kārīgar banā huā hai
kahīñ pe mas.ala fōtpath par tajāvuz kā
kahīñ pe mas.ala dīvār-o-dar banā huā hai
sukūn kyuuñ nahīñ karte thake hue manzar
tumhārī aañkh meñ bistar agar banā huā hai