diyā apnī ravish par kyā gayā hai
havā kā haath bhī ghabrā gayā hai
tumhāre phuul mujh tak aa ga.e haiñ
magar yuuñ bhejnā chauñkā gayā hai
hamāre ḳhvāb be-parda hue haiñ
hamārī aañkh meñ jhāñkā gayā hai
taḌap kar āñganoñ meñ dhuup bikhrī
galā bargad kā phir kaaTā gayā hai
saḌak par shor aur bhagdaḌ machā kar
mirī āvāz ko kuchlā gayā hai
kisī ke haath kaaTe jā rahe haiñ
kisī ke kaan se jhumkā gayā hai
diye kī bhuuk jañgal khā ga.ī hai
añdherā duur tak rotā gayā hai
tumhārā titliyoñ par vaar karnā
hamāre phuul bhī zaḳhma gayā hai