dar-o-dīvār se jaarī lahū hai
tirī tasvīr kā dukh suraḳh-rū hai
bichhe haiñ duur tak patte zamīñ par
ye ḳhāmoshī nahīñ hai haav hū hai
ḳhushā āñkhoñ meñ jañgal haiñ tumhārī
bhaTakne kī mujhe bhī aarzū hai
jise chuTkī bajānā kah rahe ho
hamārī uñgliyoñ kī guftugū hai
koī to aa.e chheḌe zikr terā
samā.at kab se merī bā-vazū hai