vo be-ruḳhī ki taġhāful kī intihā kahiye
ba-īñ-hama use kis dil se be-vafā kahiye
ġham-e-hayāt o ġham-e-kā.enāt se haT kar
kisī kī qāmat o gesū kā mājrā kahiye
vo munfa.il ho ki ho mushta.il balā se magar
kabhī to hāl-e-dil-e-zār-e-barmalā kahiye
batā.iye kaf-e-mahbūb dast-e-qātil ko
lahū ke daaġh ko gul-kārī-e-hinā kahiye
adab kā hai ye taqāzā ki us kī mahfil meñ
sukūt-e-nāz ko bhī naġhma o sadā kahiye
ham apne daur meñ jis bāñkpan se zinda haiñ
use ham ahl-e-mohabbat kā hausla kahiye
'surūr' hazrat-e-ġhālib ke rañg meñ bhī kabhī
hikāyat-e-karam-e-chashm-e-surma-sā kahiye