aur koī dam kī mehmāñ hai guzar jā.egī raat
Dhalte Dhalte āp-apnī maut mar jā.egī raat
zindagī meñ aur bhī kuchh zahr bhar jā.egī raat
ab agar Thahrī rag-o-pai meñ utar jā.egī raat
jo bhī haiñ parvarda-e-shab jo bhī haiñ zulmat parast
vo to jā.eñge usī jānib jidhar jā.egī raat
ahl-e-tūfāñ be-hisī kā gar yahī aalam rahā
mauj-e-ḳhūñ ban kar har ik sar se guzar jā.egī raat
hai ufuq se ek sañg-e-āftāb aane kī der
TuuT kar mānind-e-ā.īna bikhar jā.egī raat
ham to jaane kab se haiñ āvāra-e-zulmat magar
tum Thahar jaao to pal bhar meñ guzar jā.egī raat
raat kā anjām bhī ma.alūm hai mujh ko 'surūr'
laakh apnī had se guzre tā-sahar jā.egī raat