Suroor Barabankvi

mehr-o-mah bhi larzan hain faza ki banhon mein

Suroor Barabankvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1980
mehr-o-māh bhī larzāñ haiñ fazā kī bāñhoñ meñ
ahl-e-dil ḳhirāmāñ haiñ kaisī shāh-rāhoñ meñ
be-kasī barastī hai zindagī ke chehre se
kā.enāt kī sāñseñ Dhal rahī haiñ aahoñ meñ
zabt-e-ġham kī tākīdeñ thiiñ so ḳhair thiiñ lekin
kuchh talāfiyāñ bhī thiiñ raat un nigāhoñ meñ
ham tujhe bhulā kar bhī kyā sukūn pā.eñge
zindagī to hai tere dard kī panāhoñ meñ
dasht-e-dil meñ ab terī yaad yuuñ bhaTaktī hai
jaise koī dīvāna shab ko shāh-rāhoñ meñ
muddateñ huiiñ us ne aañkh bhar ke dekhā thā
phir rahī haiñ vo āñkheñ aaj tak nigāhoñ meñ
Top Urdushayar.com