haal meñ apne magan ho fikr-e-ā.inda na ho
ye usī insān se mumkin hai jo zinda na ho
kam se kam harf-e-tamannā kī sazā itnī to de
jur.at-e-jurm-e-suḳhan bhī mujh ko ā.inda na ho
be-gunāhī jurm thā apnā so is koshish meñ huuñ
sruḳh-rū maiñ bhī rahūñ qātil bhī sharminda na ho
zulmatoñ kī mad.h-ḳhvānī aur is andāz se
ye kisī parvarda-e-shab kā numā.inda na ho
maiñ bahar-sūrat tirā karb-e-taġhāful sah gayā
ab mujhe is kā sila de sirf sharminda na ho
zindagī tishna bhī hai be-rañg bhī lekin 'surūr'
jab talak chehra faroġh-e-mai se tābinda na ho