dast-o-pā haiñ sab ke shal ik dast-e-qātil ke sivā
raqs koī bhī na hogā raqs-e-bismil ke sivā
muttafiq is par sabhī haiñ kyā ḳhudā kyā nāḳhudā
ye safīna ab kahīñ bhī jaa.e sāhil ke sivā
maiñ jahāñ par thā vahāñ se lauTnā mumkin na thā
aur tum bhī aa ga.e the paas kuchh dil ke sivā
zindagī ke rañg saare ek tere dam se the
tū nahīñ to zindagī kyā hai masā.il ke sivā
us kī mahfil ā.īna-ḳhāna to thī lekin 'surūr'
saare ā.īne salāmat the mire dil ke sivā