Suroor Barabankvi

kabhi apne ishq pe tabsire kabhi tazkire ruKH-e-yar ke

Suroor Barabankvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1980
kabhī apne ishq pe tabsire kabhī tazkire ruḳh-e-yār ke
yūñhī biit jā.eñge ye bhī din jo ḳhizāñ ke haiñ na bahār ke
ye tilism-e-husn-e-ḳhayāl hai ki fareb tere dayār ke
sar-e-bām jaise abhī abhī koī chhup gayā hai pukār ke
siiyo chāk-e-dāman-o-āstīñ ki vo sargirāñ na ho phir kahīñ
yahī rut hai ishrat-e-dīd kī yahī din haiñ āmad-e-yār ke
abhī aur mātam-e-rañg-o-bū ki chaman ko hai talab-e-numū
tere ashk hoñ ki mirā lahū ye amiiñ haiñ fasl-e-bahār ke
ġham-e-roz-o-shab kī amiin hai ye hayāt phir bhī hasīn hai
kahīñ dhuup āriz-e-dost kī kahīñ saaye gesū-e-yār ke
Top Urdushayar.com