yahī nahīñ ki mirā dil hī mere bas meñ na thā
jo tū milā to meñ ḳhud apnī dastaras meñ na thā
ba-nām-e-ahd-e-rifāqat bhī ham-qadam na huā
ye hausla mire ma.asūm ham-nafas meñ na thā
ajiib sehr kā aalam thā us kī qurbat meñ
vo mere paas thā aur merī dastaras meñ na thā
na jaane qāfila-e-ahl-e-dil pe kyā guzrī
ye iztirāb kabhī nāla-e-jaras meñ na thā
ḳhabar to hogī tujhe tere jāñ-nisāroñ meñ
koī to thā sar-e-maqtal jo pesh-o-pas meñ na thā
'surūr' apne chaman kī fazā hai kyā kahiye
sukūt kā to vo aalam hai jo qafas meñ na thā