Suroor Barabankvi

ai junun kuchh to khule aaKHir main kis manzil mein hun

Suroor Barabankvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1980
ai junūñ kuchh to khule āḳhir maiñ kis manzil meñ huuñ
huuñ javār-e-yār maiñ yā kūcha-e-qātil meñ huuñ
pā-ba-jaulāñ apne shānoñ par liye apnī salīb
maiñ safīr-e-haq huuñ lekin narġha-e-bātil meñ huuñ
jashn-e-fardā ke tasavvur se lahū gardish meñ hai
haal meñ huuñ aur zinda apne mustaqbil meñ huuñ
dam-ba-ḳhud huuñ ab sar-e-maqtal ye manzar dekh kar
maiñ ki ḳhud maqtūl huuñ lekin saf-e-qātil meñ huuñ
ik zamāna ho gayā bichhḌe hue jis se 'surūr'
aaj usī ke sāmne huuñ aur bharī mahfil meñ huuñ
Top Urdushayar.com