aarzū jin kī hai un kī anjuman tak aa ga.e
nik.hat-e-gul ke sahāre ham chaman tak aa ga.e
be-ruḳhī se aap jab begāna-pan tak aa ga.e
aaj ham bhī jur.at-e-jurm-e-suḳhan tak aa ga.e
mai-kada phir bhī ġhanīmat hai jahāñ is daur meñ
ek hī markaz pe shaiḳh-o-barahman tak aa ga.e
jal bujhe ahl-e-junūñ lekin kisī ko kyā ḳhabar
kitne sho.ale ḳhud usī gul-pairahan tak aa ga.e
mo'atabar ho kar rahī dīvāngī apnī 'surūr'
jitne andāz-e-junūñ the bāñkpan tak aa ga.e