Suroor Barabankvi

fasl-e-gul kya kar gai aashufta samanon ke sath

Suroor Barabankvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1980
fasl-e-gul kyā kar ga.ī āshufta sāmānoñ ke saath
haath haiñ uljhe hue ab tak garebānoñ ke saath
tere mai-ḳhānoñ kī ik laġhzish kā hāsil kuchh na pūchh
zindagī hai aaj tak gardish meñ paimānoñ ke saath
dekhnā hai tā-ba-manzil ham-safar rahtā hai kaun
yuuñ to aalam chal paḌā hai aaj dīvānoñ ke saath
un hasīñ āñkhoñ se ab lillāh aañsū pūchh lo
tum bhī dīvāne hue jaate ho dīvānoñ ke saath
zindagī nazr-e-haram to ho chukī lekin 'surūr'
har aqīdat qāza-e-ālam sanam-ḳhāne ke saath
Top Urdushayar.com