na kisī ko fikr-e-manzil na kahīñ surāġh-e-jāda
ye ajiib kārvāñ hai jo ravāñ hai be-irāda
yahī log haiñ azal se jo fareb de rahe haiñ
kabhī Daal kar naqābeñ kabhī oḌh kar labāda
mere roz-o-shab yahī haiñ ki mujhī tak aa rahī haiñ
tere husn kī ziyā.eñ kabhī kam kabhī ziyāda
sar-e-anjuman taġhāful kā sila bhī de ga.ī hai
vo nigah jo dar-haqīqat thī nigāh se ziyāda
ho barā-e-shām-e-hijrāñ lab-e-nāz se farozāñ
koī ek sham-e-paimāñ koī ik charāġh-e-va.ada