soz-e-ġham bhī nahīñ fuġhāñ bhī nahīñ
jal bujhī aag ab dhuāñ bhī nahīñ
tū ba-zāhir vo mehrbāñ bhī nahīñ
mannateñ merī rā.egāñ bhī nahīñ
jaane kyuuñ tum se kuchh nahīñ kahte
varna ham itne be-zabāñ bhī nahīñ
vo nigāheñ ki be-niyāz bhī haiñ
aur un se kahīñ amaañ bhī nahīñ
dīda-o-dil haiñ kab se chashm-ba-rāh
koī uftād-e-nā-gahāñ bhī nahīñ
ai ḳhushā kārobār-e-shauq 'surūr'
naf.a kuchh ho na ho ziyāñ bhī nahīñ