kahe to kaun kahe sarguzasht-e-āḳhir-e-shab
junūñ hai sar-ba-garebāñ ḳhirad hai mohr-ba-lab
hudūd-e-shauq kī manzil se tā-ba-hadd-e-adab
hazār marhala-e-jāñ gudāz o sabr-talab
ye ālam-e-qad-o-gesū ye husn-e-āriz-o-lab
tamām nik.hat-o-naġhma tamām sher-o-adab
badal sakā na zamāna mizāj-e-ahl-e-junūñ
vahī diloñ ke taqāze vahī nazar kī talab
hazār harf-e-hikāyat vo ek nīm-nigāh
hazār va.ada-o-paimāñ vo ek jumbish-e-lab
thake thake se sitāre dhuāñ dhuāñ sī fazā
bahut qarīb hai shāyad savād-e-manzil-e-shab
'surūr' manzil-e-jānāñ hai kab se chashm-ba-rāh
bhaTak rahā hai kahāñ kārvān-e-shauq-o-talab