hamārī mahfiloñ meñ be-hijāb aane se kyā hogā
nahīñ jab hosh meñ ham jalva farmāne se kyā hogā
junūñ ke saath thoḌī sī fazā-e-lā-makāñ bhī de
mirī vahshat ko is duniyā ke vīrāne se kyā hogā
hai mar jaanā kalīd-e-fat.h samjhāyā thā rindoñ ne
magar nāseh ye kahtā hai ki mar jaane se kyā hogā
zahe qismat agar hazrat ḳhud apnā jā.eza bhī leñ
hamārī zindagī par tiir barsāne se kyā hogā
agar hamdard bante ho to zanjīreñ zarā kholo
mirī pā-bastagī par yūñhī ġham khāne se kyā hogā
dar-e-pīr-e-muġhāñ chhoḌeñ ye ham se ho nahīñ saktā
koī vaa.iz se kah do tere bahkāne se kyā hogā
jise dekho vo hai sarmast-e-sahbā-e-ḳhirad yaksar
ḳhudāvandā! yahāñ ik tere dīvāne se kyā hogā
nahīñ qalb o jigar meñ ḳhuun kā qatra koī baaqī
azīzo ab hamāre hosh meñ aane se kyā hogā
dukhoñ ko kho nahīñ sakte agar ahl-e-ḳhirad 'arshī'
to ḳhālī sīna-e-aflāk barmāne se kyā hogā