Arshi Rampuri

phir aas-pas se dil ho chala hai mera udas

Arshi Rampuri

1904-1981
phir ās-pās se dil ho chalā hai merā udaas
phir ek jaam ki barjā hoñ jis se hosh havās
hazār rañg sahī par nahīñ zarā bū-bās
havā-e-sahn-e-chaman ham ko aa.e kaise raas
sitāre ab bhī chamakte haiñ āsmāñ pe magar
nahīñ haiñ shomi-e-qismat se ham sitāra-shanās
khile haiñ phuul hazāroñ chaman ke dāman par
navā-garān-e-chaman ko magar nahīñ ehsās
dil-o-jigar meñ muravvat se paḌ ga.e nāsūr
hameñ nahīñ hai magar us ke phal se phir bhī yaas
ghire hue haiñ agar barq-o-bād-o-bārāñ meñ
to kyā huā ki kināre kī hai abhī tak aas
junūñ ko apne chhupā.eñ to kis tarah yaaro
ki taar taar hai is shaġhl-e-pāk kā akkās
jo bevafā.ī-e-gul se shikasta-ḳhātir ho
use batāo ki hai bā-vafā-tar us se ghaas
maiñ is sharāb-e-mohabbat se tañg huuñ 'arshī'
ki jitnā pīji.e baḌhtī hai aur utnī pyaas
Top Urdushayar.com