nazar jab se kisī kī mehrbāñ ma.alūm hotī hai
ye duniyā gulsitāñ-dar-gulsitāñ ma.alūm hotī hai
sazā har jurm kī manzūr hai mujh ko magar ye kyā
ki har laġhzish pe fitrat ham-zabāñ ma.alūm hotī hai
vahāñ apnā safīna le chalī huuñ maiñ Dubone ko
jahāñ har mauj bahr-e-be-karāñ ma.alūm hotī hai
ga.e vo din kī lutf aatā thā kāñToñ se ulajhne meñ
hañsī bhī ab to phūloñ kī garāñ ma.alūm hotī hai
ye kis jannat meñ le aayā hai paimān-e-vafā dil ko
ki har sūrat yahāñ ārām-e-jāñ ma.alūm hotī hai
jo guzrī hai kisī ke saath is umr-e-do-roza meñ
vo saa.at nāz-e-umr-e-jāvedāñ ma.alūm hotī hai