aa kar najāt baḳhsh do rañj-o-malāl se
dil mutma.in nahīñ hai tumhāre ḳhayāl se
uf gardish-e-nasīb ki hoshyār ho ke bhī
mahfūz rah sake na zamāne kī chaal se
ye kyuuñ kahūñ ki mujh se unheñ pyaar hai magar
ik vāsta zarūr hai mere ḳhayāl se
thā kaun ye ḳhabar nahīñ bas itnā yaad hai
Takrā.ī thī nigāh kisī ke jamāl se
dil-bastagī kī us se koī kyā kare umiid
jo kheltā rahā ho dil-e-pā.emāl se
aisā na ho ki aise hī ban jaa.eñ aap bhī
mat kījiye gurez kisī ḳhasta-hāl se
jaatā rahegā 'shauq' taḌapne kā ab maza
ġham baḌh rahā hai aaj had-e-e'tidāl se