haath uThātā huuñ maiñ ab duā ke liye
tum bhī āmīn kahnā ḳhudā ke liye
mujh ko is nīm-jāñ dil pe hairat hai jo
zindagī chāhtā hai ḳhatā ke liye
āfateñ jis qadar ho sakīñ baḳhsh do
vaqf hai dil mirā har balā ke liye
mujh tak aane meñ zahmat na ho laao maiñ
raah hamvār kar duuñ qazā ke liye
naql-e-fariyād se merī kyā fā.eda
kuchh asar bhī ho dil kī sadā ke liye
ibtidā ġham kī jab ban ga.ī zindagī
mujh ko marnā paḌā intihā ke liye
'shauq' un ke sitam kī latāfat na pūchh
dil taḌaptā hai ab tak jafā ke liye