zāviye fikr ke ab aur banāo yaaro
baat kāġhaz pe na.e Dhañg se laao yaaro
kar diye sard masarrat kī ghaTā ne jazbāt
ruuh ko ġham kī zarā dhuup dikhāo yaaro
jañg aḳhlāq-o-mohabbat se bhī ho saktī hai
apne dushman pe na talvār uThāo yaaro
jis ko har qaum kī tahzīb gavārā kar le
aisā dastūr koī sāmne laao yaaro
intihā nuur kī āñkhoñ meñ na zulmat bhar de
raushnī had se ziyāda na baḌhāo yaaro
merā maqsad hai mulāqāt ġharaz kuchh bhī nahīñ
mujh ko utre hue chehre na dikhāo yaaro
manzileñ zer-e-qadam jald simaT ā.eñgī
jazba-e-'shauq' zarā aur baḌhāo yaaro