Hasan Abbas Raza

makin yahin ka hai lekin makan se bahar hai

Hasan Abbas Raza

Islamabad, Pakistan

1951
makīñ yahīñ kā hai lekin makāñ se bāhar hai
abhī vo shaḳhs mirī dāstāñ se bāhar hai
utar bhī saktā hai sartān kī tarah mujh meñ
vo ishq jo mire vahm-o-gumāñ se bāhar hai
savāl ye nahīñ mujh se hai kyuuñ gurezāñ vo
savāl ye hai ki kyuuñ jism o jaañ se bāhar hai
na jaane kaise tarāzū huā mire dil meñ
vo ek tiir jo terī kamāñ se bāhar hai
mire vajūd kā ā.īna pūchhtā hai mujhe
ye aks kab se tire ḳhāk-dāñ se bāhar hai
ḳhudā-gavāh vo is darja ḳhūb-sūrat thī
ki merā shauq-e-tamāshā bayāñ se bāhar hai
hamārī jeb meñ ḳhvāboñ kī rezgārī hai
so len-den hamārā dukāñ se bāhar hai
mirā amiin koī thā to vo mirā ham-zād
aur ab vahī mire pasmāñdgāñ se bāhar hai
'hasan' meñ hiddat-e-hijrāñ se jal bhī saktā huuñ
ki merā jism tire sā.ebāñ se bāhar hai
Top Urdushayar.com