ghar lauTte haiñ jab bhī koī yaar gañvā kar
ro lete haiñ ham-zād ko siine se lagā kar
kis ko thī ḳhabar is meñ taḌaḳh jā.egā dil bhī
ham ḳhush the bahut sehn meñ dīvār uThā kar
kuchh aur bhī baḌh jaatī haiñ hairāniyāñ dil kī
sau baar kahā hai ki na ā.īna takā kar
sāvan meñ to ḳhud-sozī bhī ho jaatī hai nākām
relā sā guzar jaatā hai sab azm bujhā kar
maiñ tark-e-ta.alluq pe bhī āmāda huuñ lekin
tū bhī to mirā qarz-e-ġham-e-hijr adā kar
ye tai hai ki ab ham ne nahīñ milnā dobāra
ye baat magar aur kisī se na kahā kar
is kār-e-mohabbat meñ to hotā hai ḳhasāra
ai sāhab-e-zar tū ye tijārat na kyā kar
ik shahad sā ghultā chalā jaatā hai dahan meñ
letā huuñ maiñ jab saañs tirī saañs milā kar