Hasan Abbas Raza

hum pariyon ke chahne wale KHwab mein dekhen pariyan

Hasan Abbas Raza

Islamabad, Pakistan

1951
ham pariyoñ ke chāhne vaale ḳhvāb meñ dekheñ pariyāñ
duur se ruup kā sadqa bāñTeñ haath na aa.eñ pariyāñ
raah meñ haa.il qaaf pahāḌ aur haath charāġh se ḳhālī
kyūñkar jinnoñ ke changul se ham chhuḌvā.eñ pariyāñ
āshāoñ kī sohnī sajrī sej sajā.e rakkhūñ
jaane kaun ghaḌī mere ghar meñ aan barājeñ pariyāñ
saare shahr ko chāñdnī kī ḳhairāt us roz maiñ bāñTūñ
jis din ḳhvāhish ke āñgan meñ chham se utreñ pariyāñ
kachche gharoñ se ās-havelī jaane kī ḳhvāhish meñ
pahroñ ā.īne ke sāmne baiTh ke sañvareñ pariyāñ
pariyoñ kī tausīf meñ aise sher 'razā' maiñ likkhūñ
jin ko sun kar uḌtī aa.eñ jhūmeñ nācheñ pariyāñ
Top Urdushayar.com