zamīñ saraktī hai phir sā.ebān TūTtā hai
aur us ke ba.ad sadā āsmān TūTtā hai
maiñ apne-āp meñ taqsīm hone lagtā huuñ
jo ek pal ko kabhī terā dhyān TūTtā hai
koī parinda sā par kholtā hai uḌne ko
phir ik chhanāke se ye ḳhāk-dān TūTtā hai
jise bhī apnī safā.ī meñ pesh kartā huuñ
vahī gavāh vahī mehrbān TūTtā hai
na ham meñ hausla-e-ḳhud-kushī ki mar jaa.eñ
na ham se qufl-e-dar-e-pāsbān TūTtā hai
zakāt-e-ishq agar bāñTne pe aa jā.ūñ
to ik hujūm-e-talab mujh pe aan TūTtā hai
jo āñdhiyāñ sar-e-sahrā-e-hijr uThtī haiñ
un āñdhiyoñ meñ 'razā' naḳhl-e-jān TūTtā hai