ek be-nām sā Dar siine meñ aa baiThā hai
jaise ik bheḌiyā har dar se lagā baiThā hai
ek dhaḌkā sā lagā rahtā hai luT jaane kā
goyā pahre pe koī ḳhvāja-sarā baiThā hai
hurmateñ san.at-e-āhan kī tarah biktī haiñ
jis ko dekho vo ḳharīdār banā baiThā hai
aur kyā rab se vo māñgeñge fazīlat jin ke
zehn kore haiñ magar sar pe humā baiThā hai
ab 'hasan' miltā hai bāzār-e-ziyāñ meñ aksar
aisā lagtā hai koī ḳhvāb gañvā baiThā hai