Hasan Abbas Raza

irada tha ki ab ke rang-e-duniya dekhna hai

Hasan Abbas Raza

Islamabad, Pakistan

1951
irāda thā ki ab ke rañg-e-duniyā dekhnā hai
ḳhabar kyā thī ki apnā hī tamāshā dekhnā hai
Dasegā bebasī kā naag jaane aur kab tak
na jaane aur kitne din ye naqsha dekhnā hai
duā kā shāmiyāna bhī nahīñ hai ab to sar par
so ḳhud ko hiddat-e-ġham meñ jhulastā dekhnā hai
nahīñ ab sochnā kyā ho chukā kyā hogā aage
bas ab to haath kī rekhā kā likkhā dekhnā hai
bahut dekhā hai ḳhud ko rañj par taqsīm hote
aur ab taqsīm-dar-taqsīm hotā dekhnā hai
maiñ phir ik ḳhat tire āñgan girānā chāhtā huuñ
mujhe phir se tirā rañg-e-burīda dekhnā hai
tū sar-tā-pā zabānī yaad ho jā.egī mujh ko
ki ab maiñ ne tujhe itnā ziyāda dekhnā hai
'hasan' maiñ ek lambī saañs lenā chāhtā huuñ
maiñ jaisā thā kisī din ḳhud ko vaisā dekhnā hai
Top Urdushayar.com