hameñ to ḳhvāhish-e-duniyā ne rusvā kar diyā hai
bahut tanhā the us ne aur tanhā kar diyā hai
ab aksar ā.īne meñ apnā chehra DhūñDte haiñ
ham aise to nahīñ the tū ne jaisā kar diyā hai
dhaḌaktī qurbatoñ ke ḳhvāb se jaage to jaanā
zarā se vasl ne kitnā akelā kar diyā hai
agarche dil meñ gunjā.ish nahīñ thī phir bhī ham ne
tire ġham ke liye us ko kushāda kar diyā hai
tire dukh meñ hamāre baal chāñdī ho ga.e haiñ
aur is chāñdī ne qabl az vaqt būḌhā kar diyā hai
ta.alluq toḌne meñ pahl mushkil marhala thā
chalo ham ne tumhārā bojh halkā kar diyā hai
ġham-e-duniyā ġham-e-jāñ se judā hone lagā thā
'hasan' ham ne magar donoñ ko yakjā kar diyā hai