shab kī shab mahfil meñ koī ḳhush-kalām aayā to kyā
tyaag dī jo bazm us meñ merā naam aayā to kyā
zīnat-e-qirtās jitne harf the dushman hue
ek terā ism zer-e-insirām aayā to kyā
narġha-e-ādā meñ ghirte hī badan ġhirbān thā
ab safa-e-yārāñ se koī be-niyām aayā to kyā
kushtagān-e-shab ko pursā dene vaale ye bhī sun
ab tire lahje meñ rañg-e-ehtarām aayā to kyā
muntazir āñkheñ firāq-e-yār meñ pathrā ga.iiñ
sub.h kā bhūlā palaT kar ghar jo shaam aayā to kyā
dasht-e-ḳhvāhish meñ ba-kār-e-said jab muddat ke ba.ad
ik ġhazāl-e-pā-burīda zer-e-dām aayā to kyā