kisī ke hijr meñ yuuñ TuuT kar royā nahīñ karte
ye apnā rañj hai aur rañj kā charchā nahīñ karte
judā.ī kī rutoñ meñ sūrateñ dhuñdlāne lagtī haiñ
so aise mausamoñ meñ aa.ina dekhā nahīñ karte
ziyāda se ziyāda dil bichhā dete haiñ raste meñ
magar jis ne bichhaḌnā ho use rokā nahīñ karte
hamesha ik masāfat ghūmtī rahtī hai paañv meñ
safar ke ba.ad bhī kuchh log ghar pahuñchā nahīñ karte
tanī rassī pe dariyā paar utarnā hī muqaddar ho
to phir sīnoñ meñ ġharqābī kā Dar rakkhā nahīñ karte
hameñ rusvā kiyā is niiñd meñ chalne kī aadat ne
vagarna jāgte meñ ham kabhī aisā nahīñ karte
'hasan' jab laḌkhaḌā kar apne hī paañv pe girnā ho
to phir eḌī pe itnī der tak ghūmā nahīñ karte