Hasan Abbas Raza

sine ki KHanqah mein aane nahin diya

Hasan Abbas Raza

Islamabad, Pakistan

1951
siine kī ḳhānqāh meñ aane nahīñ diyā
ham ne use charāg jalāne nahīñ diyā
duzdān-e-nīm-shab ne bhī hiile bahut kiye
lekin kisī ko ḳhvāb churāne nahīñ diyā
ab ke shikast-o-reḳht kā kuchh aur hai sabab
ab ke ye zaḳhm terī jafā ne nahīñ diyā
is baar to savāl bhī mushkil na thā magar
is baar bhī javāb qazā ne nahīñ diyā
kyā shaḳhs thā uḌātā rahā umr bhar mujhe
lekin havā se haath milāne nahīñ diyā
mumkin hai vaj.h-e-tark-e-ta.alluq usī meñ ho
vo ḳhat jo mujh ko bād-e-sabā ne nahīñ diyā
is hairatī nazar kī simaTtī giraft ne
uThtā huā qadam bhī uThāne nahīñ diyā
shām-e-vidā.a thī magar us rañg-bāz ne
paañv pe hoñT rakh diye jaane nahīñ diyā
kuchh to 'hasan' vo dād-o-sitad ke khare na the
kuchh ham ne bhī ye qarz chukāne nahīñ diyā
Top Urdushayar.com