āñkhoñ se ḳhvāb dil se tamannā tamām-shud
tum kyā ga.e ki shauq-e-nazāra tamām-shud
kal tere tishnagāñ se ye kyā mo.ajaza huā
dariyā pe hoñT rakkhe to dariyā tamām-shud
duniyā to ek barf kī sil se sivā na thī
pahuñchī dukhoñ kī aañch to duniyā tamām-shud
shahr-e-dil-e-tabāh meñ pahuñchūñ to kuchh khule
kyā bach gayā hai raakh meñ aur kyā tamām-shud
ushshāq par ye ab ke ajab vaqt aa paḌā
majnūñ ke dil se hasrat-e-lailā tamām-shud
ham shahr-e-jāñ meñ āḳhirī naġhma sunā chale
samjho ki ab hamārā tamāshā tamām-shud
ik yād-e-yār hī to pas-andāz hai 'hasan'
varna vo kār-e-ishq to kab kā tamām-shud