tujh se bichhaḌ ke samt-e-safar bhūlne lage
phir yuuñ huā ham apnā hī ghar bhūlne lage
qurbat ke mausamoñ kī adā yaad rah ga.ī
guzrī rafāqatoñ kā asar bhūlne lage
azbar haiñ yuuñ to kūcha-e-jānāñ ke sab nishāñ
lekin ham us kī rāhguzar bhūlne lage
pahuñche the ham bhī shahr-e-tilismāt meñ magar
vo ism jis se khulnā thā dar bhūlne lage
ham gosha-gīr bhī the kisī mahr kī misāl
ojhal hue udhar to udhar bhūlne lage
jān-e-'hasan' ab is se ziyāda maiñ kyā kahūñ
mar jā.ūñ terī yaad agar bhūlne lage