Hasan Abbas Raza

main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai

Hasan Abbas Raza

Islamabad, Pakistan

1951
maiñ talāsh meñ kisī aur kī mujhe DhūñDhtā koī aur hai
maiñ savāl huuñ kisī aur kā merā mas.ala koī aur hai
kabhī chāñd-chehroñ kī bhiiḌ se jo nikal ke aayā to ye khulā
vo jo asl thā use kho diyā jise pā liyā koī aur hai
kaTī umr ek usī chaah meñ use dekhte kisī raah meñ
magar ik zamāne ke ba.ad jo huā āshnā koī aur hai
faqat ek pal ke firāq meñ ka.ī ḳhvāb kirchiyāñ ho ga.e
jo palaT ke aa.e to yuuñ lagā yahāñ silsila koī aur hai
vahī log haiñ vahī naam haiñ vahī ghar vahī dar-o-bām haiñ
magar ab darīchoñ kī oT se hameñ jhāñktā koī aur hai
kisī aane vaale safar kī jab karo ibtidā to ye sochnā
maiñ akelā is meñ sharīk huuñ ki mire sivā koī aur hai
use mil ke aa.e to shaam ko mujhe aa.ine ne kahā suno
vo jo sub.h-dam thā hasan-'razā' vo tumhī ho yā koī aur hai
Top Urdushayar.com