gulāb-e-surḳh se ārāsta dālān karnā hai
phir ik shām-e-visāl-āñgī tujhe mehmān karnā hai
sivā tere har ik shai ko haTā denā hai manzar se
aur is ke ba.ad ḳhud ko be-sar-o-sāmān karnā hai
maiñ apnā dasht apne saath le kar ghar se niklā huuñ
fanā karnā hai ḳhud ko aur alal-ailān karnā hai
vafā ke goshvāre meñ mirā pahlā ḳhasāra tū
tire hī naam par darj āḳhirī nuqsān karnā hai
maiñ terī bārgah meñ naqd-e-jāñ tak nazr kar aayā
to kyā kuchh aur bhī mujh ko adā tāvān karnā hai
'hasan' ko bevafā kahne meñ dukh to hogā tujh ko bhī
magar ye kār-e-mushkil tū ne merī jaan karnā hai