har ek chehre pe kanda hikāyateñ dekho
ḳhulūs dekh chuke ho to nafrateñ dekho
jo ahl-e-dil ho to ehsās-e-āgahī ke liye
bujhī nigāhoñ meñ tahrīr āyateñ dekho
ragoñ meñ kholte ḳhuuñ kī qasam na khaao kabhī
gudāz jismoñ meñ pinhāñ salāhiyateñ dekho
jo ho sake to kabhī taptī shāh-rāhoñ par
Tapakte ḳhuun se likkhī ibārateñ dekho
nafas nafas meñ hai ehsās--yūrish-e-hastī
ḳhud apnī zaat se apnī baġhāvateñ dekho
laboñ pe mohr-e-ḳhamoshī ke bāvajūd 'razā'
guzar rahī haiñ jo andar qayāmateñ dekho