dushman ko zad par aa jaane do dashna mil jā.egā
zindānoñ ko toḌ nikalne kā rasta mil jā.egā
shāh-savār ke kaT jaane kā dukh to hameñ bhī hai lekin
tum parcham thāme rakhnā sālār-e-sipah mil jā.egā
hameñ ḳhabar thī shahr-e-panah par khaḌī sipāh munāfiq hai
hameñ yaqīñ thā naqab-zanoñ se ye dasta mil jā.egā
soch-kamān salāmat rakhnī hogī tīr-andāz bahut
kaun hadaf hai aur kahāñ hai us kā pata mil jā.egā
bas tum jabr kī choTī sar karne kā ahd javāñ rakhnā
us tak jaane vaale rastoñ kā naqsha mil jā.egā
hasan-'razā' uTh aur qadam āvāz-e-jaras par rakh varnā
shaah kā sar laane tujh sā koī divāna mil jā.egā