phir tire hijr ke jazbāt ne añgḌā.ī lī
thak ke din Duub gayā raat ne añgḌā.ī lī
jaise ik phuul meñ ḳhushbū kā diyā jaltā hai
us ke hoñToñ pe shikāyāt ne añgḌā.ī lī
surḳh hī surḳh hai is shahr kā manzar-nāma
amn hote hī fasādāt ne añgḌā.ī lī
ham bhī is jañg meñ filhāl kiye lete haiñ sulh
dekhā jā.egā jo hālāt ne añgḌā.ī lī
garmī-e-āh se nam ho ga.iiñ āñkheñ ai dost
baḌh gayā habs to barsāt ne añgḌā.ī lī
fāsla ranj-o-masarrat meñ bas ik saañs kā hai
muskurā.e the ki sadmāt ne añgḌā.ī lī
jhiil jaisī vo chamaktī huī āñkheñ 'tasnīm'
un meñ Duube the ki naġhmāt ne añgḌā.ī lī