Tasneem Faruqi

aks-e-zanjir pe jaan dene ke pahlu dunga

Tasneem Faruqi

Sitapur, Uttar pradesh, India

1938
aks-e-zanjīr pe jaañ dene ke pahlū dūñgā
kuchh sazā tujh ko bhī ai shāhid-e-gesū dūñgā
apne ghar se tujhe jaane nahīñ dūñgā ḳhālī
mujh ko hiire nahīñ hāsil haiñ to jugnū dūñgā
zindagī tujh se ye samjhauta kiyā hai maiñ ne
beḌiyāñ tū mujhe de maiñ tujhe ghuñghrū dūñgā
mujh ko duniyā kī tijārat meñ yahī haath aayā
maiñ ne aañsū hī kamā.e tujhe aañsū dūñgā
maiñ huuñ dariyā mujhe ḳhidmat meñ lage rahnā hai
maiñ agar suukh bhī jā.ūñgā to baalū dūñgā
maiñ to ik peḌ huuñ chandan kā mujhe jism na jaan
tū mujhe qatl bhī kar degā to ḳhushbū dūñgā
pahle kuchh baañT usūloñ ke banā lo 'tasnīm'
jis meñ kirdār tuleñ maiñ vo tarāzū dūñgā
Top Urdushayar.com