Tasneem Faruqi

dil wo jis ke aaine mein aks-e-ainda raha

Tasneem Faruqi

Sitapur, Uttar pradesh, India

1938
dil vo jis ke ā.īne meñ aks-e-ā.inda rahā
tiira dāman manziloñ meñ bhī daraḳhshanda rahā
āh-e-āvāra kī sūrat rūh-e-gul pyāsī rahī
phuul ḳhushbū ban ke shabnam ke liye zinda rahā
haa.e vo ik muflis-o-be-ḳhānumā jo umr-bhar
sāya-e-dīvār ahl-e-zar kā bāshinda rahā
kaun ham se chhīn saktā hai mohabbat kā mizāj
pattharoñ meñ rah ke bhī ye naqsh tābinda rahā
zindagī se yuuñ to samjhauta kiyā sab ne magar
jis ne jiine kī qasam khaa.ī vahī zinda rahā
kā.enāt-o-nūr-o-zulmat hai mirā apnā vajūd
raushnī meñ bhī mirā saaya numā.inda rahā
jaane kyā kyā kah gayā us se mirā husn-e-sukūt
der tak vo mere chup rahne pe sharminda rahā
hādse to aur bhī 'tasnīm' se uljhe magar
ik tirā ġham thā jo har aalam meñ pā.inda rahā
Top Urdushayar.com