vo ek laḌkī jo ḳhanda-lab thī na jaane kyuuñ chashm-tar ga.ī vo
abhī to baiThī sisak rahī thī abhī na jaane kidhar ga.ī vo
vo laḌkī lagtī thī ajnabī sī zarā se khaTke pe chauñktī thī
ye us ke saath hādsa huā kyā ki baiThe baiThe bikhar ga.ī vo
vo koī shai apnī kho chukī thī vo DhūñDhtī us ko phir rahī thī
vo shahr shahr aur gaañv gaañv talāsh meñ dar-ba-dar ga.ī vo
na ham-navā thā na ham-zabāñ thā na dard kā koī rāz-dāñ thā
bas apnī āñkhoñ se qatra qatra Tapak Tapak kar bikhar ga.ī vo
na koī dīvār-o-dar thā koī na ham-safar ham-suḳhan thā koī
bichārī kā koī ghar kahāñ thā ki kah deñ ham apne ghar ga.ī vo
tamām anjān kūche galiyāñ tamām kāñTe tamām chhuriyāñ
kisī tarah apnā dil sambhāle bachā ke dāman guzar ga.ī vo
kisī se qaul-o-qarār thā kyā ki va.adoñ kā e.atibār thā kyā
jahāñ koī surḳh joḌā dekhā to dil ko thāme Thahar ga.ī vo
sitāroñ se jā ke mil ga.ī hai ki bādaloñ meñ chhupī huī hai
uḌaan us kī bahut baḌī thī agarche be-bāl-o-par ga.ī vo
rahī vo saare chaman meñ 'anjum' be-āshnā aur be-shanāsā
maiñ kahtī huuñ paar utar ga.ī vo zamāna kahtā hai mar ga.ī vo