Sufia Anjum Taj

zabt ki qaid-e-saKHt ne hum ko riha nahin kiya

Sufia Anjum Taj

Patna, Bihar, India

zabt kī qaid-e-saḳht ne ham ko rihā nahīñ kiyā
dard pe dard uThā magar shor bapā nahīñ kiyā
duniyā ne kyā nahīñ kiyā ham ne gila nahīñ kiyā
sab se burā.ī lī magar tum ko ḳhafā nahīñ kiyā
jo bhī mutāliba huā uzr zarā nahīñ kiyā
ab to nahīñ kahoge tum va.ada vafā nahīñ kiyā
umr guzar ga.ī tumheñ apnā nahīñ banā sake
sahne ko kyā nahīñ sahā karne ko kyā nahīñ kiyā
haath meñ apnā haath do aao hamārā saath do
us kā bhī dil to thā magar dil kā kahā nahīñ kiyā
maiñ to marīz-e-ishq huuñ merī sehat sehat nahīñ
achchhā mujhe nahīñ kyā tum ne burā nahīñ kiyā
shāyad vo din bhī aa.egā jis din kaheñge ham se vo
'anjum' maiñ sharmsār huuñ terā kahā nahīñ kiyā
Top Urdushayar.com