Sufia Anjum Taj

saz ke maujon pe naghmon ki sawari main thi

Sufia Anjum Taj

Patna, Bihar, India

saaz ke maujoñ pe naġhmoñ kī savārī maiñ thī
bhairvī ban ke lab-e-sub.h pe jaarī maiñ thī
maiñ jo rotī thī mirā chehra nikhar jaatā thā
āñsuoñ ke liye phūloñ kī kiyārī maiñ thī
giit ban jaatī kabhī aur kabhī aañsū bantī
kabhī hoñToñ se kabhī āñkhoñ se jaarī maiñ thī
jaan denā to baḌī chiiz hai dil bhī na diyā
tū to kahtā thā tujhe jaan se pyārī maiñ thī
maiñ harī shāḳh thī garche kabhī phūlī na phalī
tum se bhī TuuT ga.ī garche tumhārī maiñ thī
tū ne kuchh qadr na kī ye baḌā nuqsān huā
tere gulshan ke liye fasl-e-bahārī maiñ thī
mujh se dekhā na gayā terā pareshāñ honā
ishq kī baazī samajh-būjh ke haarī maiñ thī
ye jo 'anjum' kī hai barbādī kā qissa mash.hūr
haa.e vo shāmat-e-a.amāl kī maarī maiñ thī
Top Urdushayar.com